Motiyon vaala haar toot gaya
Tumne mujhko piro ke rakha thaa …
Aadmi bulbula hai paani ka
Aur paani ki behti setteh par
Toot-ta bhi hai, doobta bhi hai
Phir ubharta hai, phir sey behta hai
Na samandar nigal saka isko
Na tavareekh tod paayi hai
Waqt ki mauj par sada behta
Aadmi bulbula hai paani ka
Zindagi kya hai Jan-ne ke liye
Zinda rehna bahut zaroori hai
Aaj tak koi bhi raha to nahin
Saari waadi udaas baithi hai
Mausam-e-gul ne khud-kashi kar li
Kisne barood boya baagon mein
Aao hum sab pehen lein aaiine
Saare dekhenge apna hi chehra
Sabko saarey haseen lagenge yahaan
Hai nahin jo dikhaai deta hai
Aaiine par chappa hua chehra
Tarjooma aaiine ka theek nahin
Humko Ghalib ne yeh dua di thi
Tum salaamat raho hazaar baras
Yeh baras to faqat dinon mein gaya
Lab tere Mir ne bhi dekhi hain
Pankhudi ik gulaab se hain
Baatein sunte to Ghalib ho jaate
Aise bikhre hain raat din jaise
Motiyon vaala haar toot gaya
Tumne mujhko piro ke rakha thaa …
0 thoughts:
Post a Comment